Thursday 5 November 2015

Bezubaan Hoke Bhi

Bezubaan Hoke Bhi Har Baat Kah Daali Usne
Aur Hum Samaj Bhi Gaye Har Ik Ishaare kaa Matlab

Gaur Se Dekha Jo Chehra-E-Anwar Ko Unke
Yaad aa gaya Jannat ke Nazaare Kaa Matlab

Fareb-e-Ishq

Fareb-E-Ishq Ki Aadat Nahi Badli Tumhaari
Abto Dhoke Bhi Bade Pyar se Diya karte Ho

Tuesday 3 November 2015

Shahar-e-Yaar

Shahar-e-Yaar me Aaya to hua Ye Ahsaas
Sukun Itna Pahle Kabhi Mayassar Naa Tha

Aaj kah Dunga Farishton se ke Mujhe Leke Chalo
Ishq-E-Haquiqui ke Pahle Mujhpe Asar Naa Tha

Ishq-e-Elahi

Ishq Kya Hai kahan se Aaya hai Khuda Hi Jaanta Hai
Hum to muntazir Hain Do Ghoont Ishq-E-EIlahi Ke Liye

Friday 30 October 2015

Dil Ko Udaas Kar baithe Ho

Zara Si Baat pe Dil Ko Udaas Kar baithe Ho
Chehre ko apne kyon Naasaaz kar baithe Ho

Hoton pe Muskuraahat Laao Zindagi Badi Suhaani Hai
Doston Ko Dur aur Dushmanon Ko Khaas Kar Baithe Ho

Thursday 29 October 2015

हौसलों की मशाल

हौसलों की मशाल जलाता चला जा
खुद अपने लिए राह बनता चला जा
न डर न रुक न किसीके सामने झुक
प्यार की नयी भाषा सिखाता चला जा

निश्चय को अपनी  छतरछाया  बना
आत्मविश्वास को अपनी  काया बना
माँ बाप का  सीना  गर्व से  भर दे तू
ना किसीको  दूर कर और ना परया बना


Dil Kaa Gum

Dik Kaa Gum Aankhon se Nam hoke Nikal Gaya
Aansu ki Shakl me Dard Marham Hoke Nikal Gaya

Naa Ulfat Rahi Naa Yaar ki Justajoo Rahi Baaki
Lamha-e-Yaade-Yaar Matam Hoke Nikal Gaya